Friday, 19 October 2012

Maiya Ji Ka Lifafa

Maiya Ji ke bhawan se aaya lifafa
Khabar mujhe suna jana
Are meri Maa ka haal bata jana.

Aajkal kya karti hai Maiya
Kis raste se guzarti hai Maiya
Rasta mujhe dikha jana.
Are mujhe Maa ka haal bata jana.

Aajkal kya khati hai Maiya
Kis sawari par virajati hai Maiya
Mann ka brahm mita jana.
Are mujhe Maiya ka haal bata jana.

Aajkal kahan rehti hai Maiya
Apna kise batati hai Maiya
Uska naam bata jana.
Are mujhe Maa ka haal bata jana.

Aajkal kya pehanti hai Maiya
Kis Devi sang rehti hai Maiya
Shraddha bhakti jaga jana
Are mujhe Maa ka haal bata jana.

Aajkal kahan soti hai Maiya
Kispe khush hoti hai Maiya
Aur kuch na chahiye hamein.
Are mujha Maa ka haal bata jana.

No comments:

Post a Comment